Reciter: Nadeem Sarwar

Hotay Rehtay Thay Jisay Hulla E Firdaos Ataa
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Muhammad Ka Nawasa Woh Hussain Ibne Ali
Gulshan E Fatima Zehra Ki Woh Masoom Kali
Nama E Panjatan E Pak Mein Ba Harf E Jali
Hurmat E Deen E Khuda Jis Ki Shahadat Mein Dhali
Hotay Rehtay Thay Jisay Hulla E Firdaos Ataa
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Jhoola Jibreel Nay Bachpan Mein Jhulaya Woh Hussain
Dosh Par Jis Ko Payambar Nay Bithaya Woh Hussain
Jis Py Quran Ky Paron Ka Tha Saya Woh Hussain
Pani Dill Khol Ky Dushman Ko Pilaya Woh Hussain
Haye Us Bey Kas O Nadar Ko Pani Na Diya
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Dasht Mein Ghair Liya Jis Ko Bula Kar Mehman
Samnay Jis Ky Tarhapta Raha Akbar Sa Jawan
Khainch Li Jis Nay Jawan Baitay Ky Seenay Say Sinaan
Jis Ky Hathon Py Hua Qatl Pisar Ghuncha Dahaan
Akhri Nasir E Mazloom Bhi Jis Ka Na Raha
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Khoob Rotay Hain Jo Apna Koi Mar Jata Hai
Lasha Bay Wali O Waris Ka Kafan Pata Hai
Aur Taras Kha Ky Usay Koi Bhi Dafnata Hai
Taziyat Kay Liye Dushman Bhi Chala Ata Hai
Haye Afsos Jigar Gosha E Mehboob E Khuda
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Haye Pamal Hui Lash E Hussain Ibne Ali
Bhai Ki Lash Py Mazloom Behan Ro Na Saki
Lash E Uryaan Pay Lahu Chashm E Falak Roti Thi
Kalma Parhtay Thay Payambar Ka Aur Hanstay Thay Shaki
Lash Par Jamti Thi Khak Aur Yeh Deti Thi Sada
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Parcham E Hazrat E Abbas Uthanay Walay
Rahen Abad Aza Khanay Sajanay Walay
Aur Salamat Rahen Nohon Ko Sunanay Walay
Gham E Sarwar Mein Hain Jo Ashk Bahanay Walay
Fatima Zehra Unhen Khuld Mein Deti Hain Dua
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Zikr E Maula Mein Qalam Rok Na Apna Mehshar
Daikh Zainab Ky Nahi Sar Py Abhi Tak Chadar
Pursa Deta Rahay Ashaar Say Sheh Ka Mehshar
Rakh Tasawwur Mein Keh Hai Dasht Mein Lash E Sarwar
Lash E Uryaan Ko Orhata Rahay Nohon Ki Rida
Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Woh Sheshanshah E Zaman Jis Ko Kafan Bhi Na Mila

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply