Reciter: Tejani Brothers
Haye Zahra Haye Zahra…
Zahra Ujri Hai…
Torha Gaya Darwaza Ghar Ka Aag Lagai Ummat Ny
Bad Nabi Ky Bint E Nabi Py Aafat Dhai Ummat Ny
Marty Marty Jeeti Hai Zahra Jeety Jeety Marti Hai
Zahra Ujri Hai…
Ghar Mein Dakhil Hoty Hi Us Zalim Ny Woh Waar Kiya
Aag Lagai Mary Tamanchay Mohsin Ko Bhi Maar Diya
Kya Kya Batayen Fatima Zahra Kya Kya Us Par Beeti Hai
Zahra Ujri Hai…
Haye Galy Mein Shair E Khuda Ky Reesman Jis Dam Bandhy Gaye
Tham Ky Apni Tooti Pasli Beti Nabi Ki Roti Rahi
Zahra Ka Bas Dill Hi Janey Zahra Par Jo Guzri Hai
Zahra Ujri Hai…
Ghusl Ky Waqt Bhi Fatah E Khaibar Hosh Ko Apny Khony Lagy
Dekh Ky Tooti Pasli Maula Cheekh Ky Haye Rony Lagy
Khoon Ki Nadi Maula Ki Ankhon Sy Us Lamha Behti Hai
Zahra Ujri Hai…
Haq To Lutairon Ny Loota Hai Roza Bhi Mismaar Kiya
Jeety Marty Fatima Zahra Ko Na Sukoon O Chain Mila
Un Ki Shikasta Turbat Jaisy Noha O Matam Karti Hai
Zahra Ujri Hai…
Apny Gunahon Ky Ghasib Sab Gin Ky Sazayen Payen Gy
Munh Par Un Ky Rozy Namazen Ek Din Mary Jayen Gy
Kaisy Bakhshy Ga Rab Un Ko Jin Sy Zahra Roothi Hai
Zahra Ujri Hai…
Apny Bety Sy Ek Maan Ka Maamta Ka Wo Rishta Tha
Chot Jo Lagti Bety Ky To Dard Jigar Mein Uthta Tha
Waqt E Akhir Sy Karbal Tak Dukhiari Maan Tarhpi Hai
Zahra Ujri Hai…
Bibi Zahra Aap Ky Jaisa Duniya Mein Hai Kis Ka Gham
Tauqeer Aur Tejani Masaib Aap Ky Sunty Hain Jis Dam
Roty Roty Din Kat’ta Hai Raat Tarhapty Kat’ti Hai
Zahra Ujri Hai…