Reciter: Mir Hasan Mir
Haye
Darr Jal Chuka Hai Yousuf E Zahra Kab Aao Gay
Zahra Sadayen Deti Hain Maola Kab Aao Gay
Al Ajal Al Ajal Al Ajal Al Ajal
Al Ajal Al Ajal Al Ajal
Allahumma Ajjil Le Waliyekal Faraj
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Day Kar Sadayen Aap Ko Leti Hain Hichkiyan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Pehloo Shikasta Ho Gaya Jaldi Sambhal Lo
Bint E Nabi Ko Aag Say Aa Kar Nikal Lo
Maola Tumhari Dadi Hain Shoalon Kay Darmiyan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Dekha To Ho Ga Zulm Nigah E Imam Say
Beton Kay Samnay Kabhi Logon Kay Samnay
Khaye Nabi Ki Beti Nay Durray Kahan Kahan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Afzal Abu Turab Hain Kull Kayenaat Say
Khaibar Ko Fatah Kis Nay Kiya Apnay Hath Say
Woh Shair E Kibriya Kahan Aur Rassiyan Kahan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Haye
Madar Ka Chehra Takti Hai Hasrat Say Bar Bar
Zainab Kay Sath Sath Hain Kulsoom Bey Qarar
Chehray Pay Neel Daikh Kay Roti Hain Betiyan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Ek Zalzala Sa Tari Tha Qabr E Rasool Par
Zalim Nay Aisay Hath Uthaya Batool Par
Bikhri Zameen Pay Toot Kay Zahra Ki Baliyan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Kis Din Zahoor Pao Gay Ay Ibn E Fatima
Batla Rahi Hai Zahra Ki Yeh Zair E Darr Sada
Yasrab Mein Tum Nay Dekhi Hai Zakhmon Say Choor Maan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Ay Waris E Rasool Qayamat Phir Aa Gai
Ghaibat Mein Tum Ho Aur Shahadat Phir Aa Gai
Aa Kar Suna To Do Hamen Ghurbat Ki Dastaan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Har Dushman E Batool Ko Tukrhon Mein Bant Do
Tum Ko Qasam Hussain Ki Woh Hath Kaat Do
Jis Hath Ka Hai Bibi Kay Rukhsar Par Nishan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Ayaam E Pursa Dari E Zahra Ka Wasta
Kartay Hain Qum Mein Meer Takallum Yeh Sab Dua
Matam Karay Baqaiyyah Mein Har Matami Jawan
Ya Sahib Az Zaman
Zakhmi Hain Fatima Tooti Hain Pasliyan
Ya Sahib Az Zaman Ya Sahib Az Zaman
Allah Humma Ajjil Le Waliyekal Faraj
Al Ajal Al Ajal Al Ajal
Al Ajal Al Ajal Al Ajal