Reciter: Tejani Brothers

Asghar Mere Asghar

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Tanhaa hai meri Jaan Maa Lori Sunaye
Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Abbas ka mansab to saqqayi tha ay dilbar
Woh rehgaye darya par, mashkiza hai kaandhe par

Kyu(n) pani nahi pikar, tum lot ke ghar aaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Dori teri jhule ki, thaami huwi bethi hu
Ghar jaate parindo(n) ko, (ay laal mei takti hu

Aaja meri godi mei, haatho(n) ko hu(n) phelaaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Tu pehle pehel tanha, nikla hai kahi ghar se
Maydaa(n) mei jo insaa(n) hay, dil unke hay patthar se

Aise kisi patthar se, thokar na kahi khaaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Tu nanna mujaahid hay, is dasht mei waahid hai
Qirdaar ka ghazi hai, afkaar ka zaahid hai

Teywar Ali Akbar ke sab tujhme simat aaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Haatho(n) pe padar ke, beteygh gaye ran ko
Aabad kiya maqtal, (suna kiya aanghan ko

Ab yaad teri beta, Dilko mere tarpaaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Ik baar shahadat ka, har ik ne sharaf paaya
Do baar shahadat ka, sehra tere sar aaya

Tujh jaisa bahaddur ab, Dunya mujhe dikhlaaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Bazu tere baba ka aur nanna gala tera
Ik teer ne ay beta, (ik wakht may hai cheyda

Us waqt bhi tum beta, honto pe hansi laaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Inkaar aasmaa(n) ko, razi zamee(n) nahi thi
“Rehan” khoon-e-asghar, (surkhi nabi ke dee(n) ki

Chehre pe mal ke sarwar, khayme mei lot aaye

Aaja mere asghar, maa(n) lori sunaaye

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply