Zanjeer Ye Mojza Bhi Lyrics Imam Zain Ul Abideen Qaseeda Ali Hamza
Zanjeer Ye Mojza Bhi Lyrics in Urdu and English Text. An Imam Zain Ul Abideen Qaseeda and Manqabat recited by Ali Hamza.
Zanjeer Ye Mojza Bhi Lyrics in English Text
Zanjeer Toot Jaye Gi Kehty Hi Ya Ali
Darbar Dekh Ly Ga Keh Mukhtar Kon Hai
Abid Ka Woh Jalal Tha Darbar E Sham Mein
Hakim Yeh Poochta Raha Beemar Kon Hai
Ali Ali Zain Ul Abideen
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Zanjeer Kaisy Banti Hai Talwar Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Phir Koi Aa Raha Hai Ali Is Jahan Mein
Kiun Hans Rahi Hai Kaaby Ki Deewar Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Yousuf Ka Husn Kehta Hai Hathon Ko Jorh Kar
Sajjad Meri Simt Bhi Ek Baar Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Pairon Ky Aablon Ko Yeh Hukm E Imam Tha
Pyasa Na Rehny Paye Koi Khaar Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Mesum Yeh Keh Rahy Hain Sar E Daar Dekhna
Kaatun Ga Main Zuban Se Talwar Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Tum Sajdy Sath Lana Main Ashk Laun Ga
Allah Ho Ga Kis Ka Khareedar Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Mehsoos Ho Gi Parcham E Abbas Ki Kami
Bait E Khuda Ko Ghaor Se Ek Baar Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Kosar Py Hi Milun Ga Tumhen Dhundna Mujhe
Is Par Dekhna Kabhi Us Par Dekhna
Yeh Mojza Bhi Bar Sar E Darbar Dekhna
Zikr E Sajjad E Naik Naam Karen
Yani Alfaaz Ko Hasam Karen
Un Ko Qaidi Nahi Kaha Karty
Jin Ko Azadian Salam Karen
MASHALLAH MOLA SALAMAT RAKHE ALI HAMZA BHAI