Reciter: Nadeem Sarwar

Aiyo Hannass
Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Aiyo Hannass Tumhen Khoon E Hussaini Ki Qasam
Kam Na Ho Ranj O Alam Aur Yeh Shor E Matam

Yeh Woh Matam Hai Jo Zehra O Ali Kartay Rahay
Asr E Ashoor Yeh Matam To Nabi Kartay Rahay
Jab Luta Fatima Zehra Ka Bhara Ghar Ran Mein
Al Qama Roti Thi Aur Karbobala Karti Thi Bayn

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Shu Sakina Jo Giraftar E Ajal Dar Zindaan
Na Rafeeq Na Anees E Na Dam E Gham Khuaraan
Mar Gai Sham Ky Zindaan Mein Sakina Ghut Kar
Qatl Ky Waqt Bhi Aye Nahi Bhaiya Akbar
Dil Ki Hasrat Rahi Dill Mein Hi Rihai Na Mili
Khoon Bhara Kurta Kafan Gaya Marqad Zindaan

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Murd Farzand E Jawan Khurd O Sinaan Bar Seena
………………………………………
Mar Gaya Samnay Atthaara Baras Ka Beta
Haye Is Umar Mein Sajta Hai Saron Par Sehra
Noor Ankhon Ka Gaya Thokaren Khatay Hain Hussain
Dar E Khaima Pay Kharhi Roti Hai Bint E Zehra

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Turbat E Ashgar E Masoom ……………….
……………………………………..
Aik Nanhi Si Lahad Khod Ky Maidan Mein Hussain
Kartay Hain So Ba Khuda Ko Tujhay Ay Noor E Ain
Khawab Sab Khak Ka Paiwand Huye Umme Rabab
Khali Jhoola Hua Aur Kokh Tumhari Ujrhi

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Rafta Shud Chadar E Zainab Sar E Bazar E Jafa
Seena Kobi Ba Kunand Ahl E Aza Wawaila
Sar E Bazar E Jafa Bint E Ali Bey Chadar
Bhai Atthaara Thay Koi Na Raha Sar Py Magar
Rassiyan Qaid E Sitam Ranj O Alam Kunbay Ka Gham

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Man Afaa……………………………..
Bad E Abbas Alamdar O Ali E Akbar
Jee Ky Ab Kya Karay Shabbir Keh Lashkar Na Raha
Woh Alamdar Woh Abbas E Dilawar Na Raha
Asar Ka Waqt Liye Jam E Shahadat Aya
Rakh Diya Sajda E Mabood Mein Shabbir Nay Sar

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Chahsm E Maa Ashk Fishan Dar Gham E Shabbir Hanooz
Man Afaaham Asee Wan Matam E Shabbir Hanooz
Ashk Ankhon Say Nahi Thamtay Hain Rehan Kabhi
Yad Aa Jata Hai Jab Sham Ka Zindaan Kabhi
Jab Bhi Qirtaas Py Main Noha E Shabbir Likhun
Meri Tehreer Mein Ata Hai Meray Qalb Ka Soag

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Aiyo Hannas Tumhen Khoon E Hussaini Ki Qasam
Kam Na Ho Ranj O Alam Aur Yeh Shor E Matam

Aiyo Hannass Shumara Bahaq E Khoon E Hussain
……………………………………..

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply