Reciter: Farhan Ali Waris

Jab Tarhapnay Ki Bhi Taqat Na Rahi Sarwar Ko
Ghul Hua Yeh Keh Ghash Aya Khalaf E Haider Ko
Aur Phir Shimr Barha Khainchay Huye Khanjar Ko
Sab Say Kehta Tha Keh Katun Ga Sar E Sarwar Ko

Munh Na Main Daolat E Duniya Say Kabhi Phairun Ga
Aaj Zahra Ky Kalaijay Pa Churi Phairun Ga

Aai Sada E Fatima Taras Itna To Kha Lay Zalim

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Na Khanjar Chala Ay Zalim
Is Ko Pani Pila Day Zalim

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Choomtay Thay Payambar Jisay Woh Gala
Kaisay Daikhun Usay Zair E Khanjar Bhala
Jis Ka Kalma Parhay Yeh Zabaan
Woh Muhammad Hain Is Ky Nana

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Is Ko Mehman Bula Kar Satatay Ho Kiun
Meray Bachay Pay Khanjar Chalatay Ho Kiun
Tars Itna Utha Ay Zalim
Mera Dill Na Dukha Ay Zalim

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Kaisay Pala Hai Is Ko Tujhay Kya Khabar
Meray Hathon Ky Chalay Huye Noha Garr
Kaisay Daikhun Ga Bata Day Sitam Gar
Apnay Bachay Ki Gardan Pay Khanjar

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Chakkian Pees Kar Mainay Pala Jisay
Kya Bana Hai Yeh Khanjar Isi K Liye
Qatal Karna Hi Hai Garchay Tujh Ko
Dasht Say Door Janay Day Mujh Ko

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Apnay Pehloo Mein Is Ko Sulati Rahi
Is Ki Rahon Say Kantay Hataati Rahi
Aaj Is Kay Galay Par Khanjar
Kaisay Daikhun Bata Day Sitam Gar

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Lorian Is Ko Deti Thi Main Raat Bhar
Kitni Raten Guzari Hain Yun Jaag Kar
Kab Say Soya Nahi Mera Dillbar
Boojh Bas Hai Yehi Meray Dill Par

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Faqay Kar Kar Kay Khana Khilaya Jisay
Pyasi Reh Reh Ky Pani Pilaya Jisay
Aath Pehron Say Hai Aaj Pyasa
Kaisay Dy Dun Tujhay Yeh Asaasa

Main Maan Hun Pyase Hussain Ki

Maan Ki Faryad Farhan Kya Ho Bayaan
Chashm E Mazhar Say Hai Khoon Ka Dajla Rawaan
Chal Gaya Ibn E Haider Pay Khanjar
Noha Karti Rahi Bann Mein Maadar

Haye Hussain Mazloom Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply