Reciter: Nadeem Sarwar

Ya Hussain Ya Hussain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Jahan Mein Sary Hussain Waly
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Aleel E Kaaba Kahan Ho Aao
Aleel E Karbobala Ko Dekho
Hussain Jalti Hui Zameen Sy
Pisar Ki Maiyat Utha Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Hussain Ky Yeh Jigar Ki Taqat
Hai Jis Sy Ayub Ko Bhi Hairat
Galy Ky Khanjar Rawan Hai Lekin
Hussain Kalma Suna Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Kahin Py Akbar Sa Gul Badan Hai
Kahin Py Qasim Gul E Hasan Hai
Jigar Ky Tukron Sy Shah E Wala
Zameen E Maqtal Saja Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Na Janey Zainab Ny Kaisy Dekha
Ajeeb Manzar Woh Karbala Ka
Hussain Gir Gir Ky Uth Rahy Hain
Tarhap Ky Akbar Bula Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Charagh E Khaima Bhuja Ky Sarwar
Bana Gaye Hain Yeh Kaisa Lashkar
In Hi Charaghon Ki Roshni Sy
Charagh Sab Jagmaga Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Yeh Urhty Badal Yeh Behty Dariya
Suno Zara Kya Bata Rahy Hain
Jahan Khuda Hai Wahan Hussaini
Hussain Ka Gham Mana Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Padar Ky Seeny Py Sony Wali
Subho Sy Rehwar Ky Hai Lipti
Sakina Shayad Samajh Gai Hai
Yeh Baba Marny Ko Ja Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Jahan Jahan Bhi Hussainiyat Hai
Rehan O Sarwar Yeh Bat Sach Hai
Hussain Waly Alam Utha Kar
Hussain Ka Gham Mana Rahy Hain

Yeh Chand Tarey Yeh Phool Kaliyan
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Jahan Mein Sary Hussain Waley
Hussain Ka Gham Mana Rahey Hain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply