Khairilamal

Allah O Akbar Ya Ali Lyrics Imam Ali Manqabat Mir Hasan Mir 2018

Reciter: Mir Hasan Mir
Recitation Type: Manqabat
Year: 2018

Urdu Manqabat Allah O Akbar Ya Ali Lyrics in Urdu and English recited by Mir Hasan Mir in 2018. An Imam Ali Manqabat.

Allah O Akbar Ya Ali Lyrics in English

Ya Ali O Ya Ali O Ya Ali

Shah E Mardan Shair E Yazdan Quwat E Parwardigar
La Fataah Illa Ali La Saif Illa Zulfiqar

Manqabat Parhta Hai Teri Rabb E Akbar Ya Ali
Ya Ali Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Teri Thokar Mein Fana Hai Teri Thokar Mein Baqa
Murda Kar Deti Hai Zinda Teri Thokar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Kon Si Neymat Nahi Bety Ky Dastar Khuwan Par
Khud Guzara Jo Ki Sokhi Rotion Par Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Jannaten Apni Bana Kar Bechta Hai Shehar Mein
Yeh Hai Tere Aathwen Darjey Ka Nokar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Do Sagi Behnon Ki Tarah Fatima Aur Zulfiqar
Baten Karti Hain Tere Bary Mein Aksar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Mard Bhi Deewar Shak Dekhy To Hat Jaye Magar
Aagy Barhti Ja Rahi Hai Teri Madar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Dekh Kar Abbas Ko Siffeen Mein Larhta Hua
Khud Ali Kehny Lagy Allah O Akbar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Sirf Adam Hi Nahi Har Admi Ka Tha Wujood
Khak Thi Jo Aap Ki Muthi Ky Andar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Nazaa Keh Alam Mein Yeh Zarra Nawazi Shukriya
Tum Takallum Key Liye Khud Aaye Chal Kar Ya Ali

Allah O Akbar Ya Ali Allah O Akbar Ya Ali

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *