Reciter: Farhan Ali Waris
Ay Mere Maula Ay Mere Maula
Sab Logon Ka Emaan Jaga Dijiye Maula
Ay Mere Maula Ay Mere Maula
Beh Rahi Hain Kaisi Dilon Mein Yeh Nafraten
Ho Rahi Hain Kaisi Mominon Ki Halaten
Door Ho Rahi Hain Dilon Say Muhabbaten
Zehnon Ki Kadoorat Ko Mita Dijiye Maula
Ay Mere Maula Ay Mere Maula
Dar Rahi Hai Meri Nasl Jor O Jafa Say
Jata Raha Husn E Asar Dast E Dua Say
Hat Gaye Hain Ahl E Hunar Kar E Wafa Say
Ab Rasta Manzil Ka Bata Dijiye Maula
Ay Mere Mola Ay Mere Mola
Razm Gaah E Deen Mein Tha Naam Hamara
Saltanat Laga Na Saki Daam Hamara
Khaof Py Mabni Hua Har Kaam Hamara
Phir Mesum O Mukhtar Bana Dijiye Mola
Ay Mere Mola Ay Mere Mola
Mazi Ky Hawalay Say To Ek Khuwab Bhi Ham Hain
Tareekh Mein Bas Waris E Mehrab Bhi Hum Hain
Is Daor Mein Ab Sahib E Mizrab Bhi Hum Hain
Jeenay Ki Hamen Samt Dikha Dijiye Mola
Ay Mere Mola Ay Mere Mola
Parhti Rahi Tareekh Hamara Hi Qaseeda
Naizon Py Faqat Hum Nay Parha Haq Ka Jareeda
Shaitan Ki Zadd Mein Hai Malangon Ka Aqeeda
Phir Khum Ka Koi Jam Pila Dijiye Mola
Ay Mere Mola Ay Mere Mola
Yeh Teen Amanat Hain Khayanat Say Bachayen
Is Bazm E Wilayat Ko Khilafat Say Bachayen
Ankhon Ki Ita’at Ko Siyasat Say Bachayen
Bas Majlis O Matam Ko Jila Dijiye Mola
Ay Mere Mola Ay Mere Mola
Sadiyon Say Hi Aulad E Nabi Giriya Kunaan Hai
Shabbir Ky Aangan Mein Udasi Hai Khizan Hai
Han Fatima Zehra Ko Bhala Chain Kahan Hai
Us Qalb E Shikasta Ko Dawa Dijiye Mola
Ay Mere Mola Ay Mere Mola
Mazloom Qabeelay Ki Madad Kay Liye Ayen
Asghar Hai Pyasa Usay Pani Bhi Pilayen
Ek Dhoop Mein Baithi Hui Maan Ko Bhi Uthayen
Sughra Ko Bhi Akbar Say Mila Dijiye Mola
Ay Mere Mola Ay Mere Mola
Sab Ahl E Aza Ho Kay Pareshan Pukaren
Is Alam E Islam Ky Insaan Pukaren
Har Sans Mein Hi Shaokat O Farhan Pukaren
Parday Say Hi Parday Ko Hata Dijiye Mola
Ay Mere Mola Ay Mere Mola